kis sher meñ sanā-e-ruḳh-e-mah-jabīñ nahīñ
hai āsmān-e-husn ġhazal kī zamīñ nahīñ
kyūñkar kahūñ ki tum sā koī nāznīñ nahīñ
aajiz kuchh ai hasīñ mirā husn-āfrīñ nahīñ
ik ik suḳhan pe karte haiñ sau sau nahīñ nahīñ
kyā dūsrā jahān meñ tum sā hasīñ nahīñ
tujh sā jahāñ meñ ai yam-e-ḳhūbī hasīñ nahīñ
hai mauj-e-bahr-e-husn ye chīn-e-jabīñ nahīñ
achchhī nahīñ hai roz kī ai nāznīñ nahīñ
haañ haañ payām-e-vasl pe kījiye nahīñ nahīñ
ka.abe meñ but-kade meñ na dil meñ na arsh par
ai but kahāñ nihāñ hai ki miltā kahīñ nahīñ
jalva tirā kahāñ nahīñ ai āsmān-e-husn
jis jā falak na ho koī aisī zamīñ nahīñ
tanhā.ī-e-lahad se na ghabrā.eñ kis tarah
mūnis nahīñ shafīq nahīñ ham-nashīñ nahīñ
paimāñ-shikan jahāñ meñ na hogā huzūr sā
īfā-e-va.ada tum se agar ho yaqīñ nahīñ
kyā ham-sarī karegā tirī māh-e-āsmāñ
abrū nahīñ tirī sī tirī sī jabīñ nahīñ
maujūd jism meñ hai par āñkhoñ se hai nihāñ
tār-e-nigāh hai kamar-e-nāznīñ nahīñ
ro-ro ke hāl-e-ishq jo kahtā huuñ un se maiñ
hañs hañs ke mujh se kahte haiñ ham ko yaqīñ nahīñ
kis din unhoñ ne sīdhī tarah ham se baat kī
ulTī hamāre qatl pe kab āstīñ nahīñ
vo dil udaas hai ki jo ḳhālī hai ishq se
vīrāñ hai vo makān ki jis meñ makīñ nahīñ
bosa talab kiyā sar-e-mahfil jo yaar se
bolī hayā-e-rū-e-nigārīñ nahīñ nahīñ
māyūs vasl se dil-e-ġham-ghīñ hai kis qadar
har chand ham-kanār haiñ vo par yaqīñ nahīñ
āñkhoñ meñ nuur dil meñ ziyā siine meñ safā
jalva kahāñ kahāñ tirā ai nāznīñ nahīñ