Zeba

aisi tashbih faqat husn ki badnami hai

Zeba

aisī tashbīh faqat husn kī badnāmī hai
maah aariz ko likhā ḳhāme kī ye ḳhāmī hai
rañg ye un kī sabāhat ne ajab dikhlāyā
surḳh joḌe pe gumāñ hotā hai bādāmī hai
kahte phirte ho burā mujh ko ye baat achchhī nahīñ
merī rusvā.ī meñ sāhab kī bhī badnāmī hai
aap kī bātoñ se dil pak gayā jab kahtā huuñ maiñ
hañs ke kahte haiñ ye ulfat kī faqat ḳhāmī hai
chūmtā hai koī āñkhoñ se lagātā hai koī
hai libās aap kā yā jāma-e-ehrāmī hai
nahīñ Dagne kā qadam rāh-e-vafā se apnā
jo sitam chāho karo sabr mirā haamī hai
aap kī ishq kī iizā meñ hai lutf o rāhat
aap par ḳhatm mirī jaan dil-ārāmī hai
ham akele nahīñ rahte shab-e-tanhā.ī meñ
yās-o-andoh-o-ġham o hasrat-o-nākāmī hai
dil ko abrū haiñ pasand aañkh ko chashm-e-mai-gūñ
koī duniyā meñ hilālī hai koī jaamī hai
lauh-e-qur.āñ jo kahā un kī jabīñ ko 'zebā'
is meñ kuchh shak nahīñ tashbīh ye ilhāmī hai
Top Urdushayar.com