faisla kyā ho jān-e-bismil kā
maut ruḳh dekhtī hai qātil kā
dil-lagī hai sambhālnā dil kā
nāsehā kaam hai ye mushkil kā
maut bhī kaañp kaañp uThtī hai
naam sun sun ke mere qātil kā
mil ke talvoñ se hañs ke kahte haiñ
thā zamāne meñ shor usī dil kā
hasrateñ is pate par aatī haiñ
dāġh-e-dil hai charāġh manzil kā
kyā qarīne se gul haiñ gulshan meñ
rañg uḌāyā kisī ke mahfil kā
aap ko kho ke tum ko DhūñDh liyā
hausla thā ye mere hī dil kā
be-naqāb us ne kis ko dekh liyā
rañg faq hai jo māh-e-kāmil kā
hañs ke phūloñ ko vo kareñge subuk
rañg uḌā.eñge ham anādil kā
zikr-e-ġham bazm-e-yār meñ 'zebā'
rañg bhī dekhte ho mahfil kā