Zeba

pech de zulf-e-ambarin na kahin

Zeba

pech de zulf-e-ambarīñ na kahīñ
ḳhud ulajh jaao ai hasīñ na kahīñ
kabhī ghabrāte haiñ to kahte haiñ
koī betāb hai kahīñ na kahīñ
bahut isrār vasl par nahīñ ḳhuub
muñh se kah deñ vo phir nahīñ na kahīñ
zikr jis ġhamzade kā hotā hai
dil ye kahtā hai hoñ hamīñ na kahīñ
sajde karte haiñ log der meñ bhī
vaañ bhī ai yaar hoñ hamīñ na kahīñ
naaz uThātā hai nāznīnoñ ke
dil bhī ho jaa.e nāznīñ na kahīñ
sunte haiñ arsh hai rafī.a bahut
koī jānāñ kī ho zamīñ na kahīñ
kah rahī hai fasurdagī un kī
mar gayā hai koī kahīñ na kahīñ
dil mirā le ga.e to haiñ ḳhush ḳhush
hoñ jo merī tarah hazīñ na kahīñ
āsmāñ jis ko log kahte haiñ
koī qātil kī ho zamīñ na kahīñ
muztarib be-sabab nahīñ 'zebā'
dil lagā hai magar kahīñ na kahīñ
Top Urdushayar.com