har rasm har rivāj se tañg aa chuke haiñ ab
ham apne hī samāj se tañg aa chuke haiñ ab
kuchh ham se zindagī ke taqāze bhī ghaT ga.e
kuchh ham bhī kām-kāj se tañg aa chuke haiñ ab
chaliye ki dekhte haiñ kisī aur kī taraf
ham apne ham-mizāj se tañg aa chuke haiñ ab
ham ko maraz vo hai ki pareshān haiñ tabīb
aur ham bhī har ilaaj se tañg aa chuke haiñ ab
ham dil kī dhaḌkanoñ se kahāñ tak javāb leñ
sāñsoñ ke ehtijāj se tañg aa chuke haiñ ab
ye bojh kis faqīr ke qadmoñ meñ Daal deñ
ham apne sar ke taaj se tañg aa chuke haiñ ab