jo apne ḳhvāb kī takmīl karnā chāhte haiñ
mire mizāj ko tabdīl karnā chāhte haiñ
koī sune na sune phir bhī har sadā apnī
ham in fazāoñ meñ tahlīl karnā chāhte haiñ
ye chāhte haiñ ki har ashk ik charāġh bane
ham apnī āñkhoñ ko qindīl karnā chāhte haiñ
vo jin kī koī bhī tāvīl mo'atabar na huī
vo pesh phir na.ī tāvīl karnā chāhte haiñ
jo muntaḳhab hue ta.amīl-e-hukm karne ko
ham un ke hukm kī ta.amīl karnā chāhte haiñ