kab kahāñ ham ne ki me.amār-e-ġhazal ham bhī haiñ
haañ sambhāle hue mīnār-e-ġhazal ham bhī haiñ
'ġhālib'-o-'mīr' shahanshāh-e-suḳhan haiñ lekin
apne ḳhitte meñ zamīñdār-e-ġhazal ham bhī haiñ
ham ne bhī ḳhūn-e-jigar de ke sañvārā hai ise
sāhibo ġhāza-e-ruḳhsār-e-ġhazal ham bhī haiñ
ham samajhte haiñ ġhazal kaise kahī jaatī hai
vāqif-e-azmat-o-me.ār-e-ġhazal ham bhī haiñ
us ke dāman pe ka.ī daaġh lage haiñ ham se
sach to ye hai ki gunahgār-e-ġhazal ham bhī haiñ
ham ko fan aatā hai lafzoñ kī masīhā.ī kā
aur sabab ye hai ki bīmār-e-ġhazal ham bhī haiñ
tājirān-e-suḳhan-o-sher pe kyā tanz kareñ
ḳhitta-e-raunaq-e-bāzār-e-ġhazal ham bhī haiñ
apnā bhī zikr hai arbāb-e-suḳhan meñ 'vāsif'
ye bahut hai ki parastār-e-ġhazal ham bhī haiñ