bas adab kī isī dastār se pahchānā jā.ūñ
ai ġhazal maiñ tire me.aar se pahchānā jā.ūñ
daulat-e-nām-o-nasab mujh ko bhī hāsil hai magar
chāhtā huuñ ki maiñ kirdār se pahchānā jā.ūñ
merī qīmat bhī koī aa ke lagā.e ik roz
aur maiñ garmī-e-bāzār se pahchānā jā.ūñ
mujh se tūfān ulajhne kī jasārat na kareñ
maiñ agar azm kī patvār se pahchānā jā.ūñ
zulm ke haath pe bai.at kā tasavvur ho to maiñ
sabr aur jur.at-e-inkār se pahchānā jā.ūñ
merī duniyā mujhe samjhe ki maiñ kyā huuñ 'vāsif'
jis meñ huuñ maiñ usī sansār se pahchānā jā.ūñ