ik ḳhālī chāñd hī lab-e-jū rakhnā thā
us ke hijr kā ye bhī pahlū rakhnā thā
sab kā dāman motiyoñ se bharne vaale
merī aañkh meñ bhī ik aañsū rakhnā thā
sūraj karnā thā merī peshānī ko
is miTTī meñ ye bhī jaadū rakhnā thā
kis kī āñkheñ kahāñ kī āñkheñ harf huiiñ
patthar the to ḳhud par qaabū rakhnā thā
kiyā thā us ke naam kī lau ko raushan jab
diloñ meñ aks-e-ḳhirām-e-āhū rakhnā thā
jab hāsil lā-hāsil donoñ ek se the
phir ḳhud ko na asīr-e-man-o-tū rakhnā thā
yaad kā ḳhanjar utārnā thā siine meñ
der tak ik manzar ko ḳhushbū rakhnā thā
ik aalam se bhar kar us kī jholī 'tūr'
apnī hathelī par barg-e-hū rakhnā thā