jo nahīñ hai usī manzar meñ bahut hotā hai
ye sunā hai to mire ghar meñ bahut hotā hai
hārnā merā muqaddar hai ye sab jānte haiñ
shor phir kyuuñ mire lashkar meñ bahut hotā hai
aise hī aatī nahīñ ishq meñ sajda-sifatī
ḳhuun kā zor qalandar meñ bahut hotā hai
vaqt se dahr kī har chiiz pe hotā hai asar
kam jo dikhtā hai muqaddar meñ bahut hotā hai
pyaas bujhtī hai kahāñ tishna-laboñ kī is se
paanī kahne ko samundar meñ bahut hotā hai
kuchh karishma bhī dikhātī hai lahū kī ḳhushbū
kuchh mazā bhī havas-e-zar meñ bahut hotā hai
'tūr' vo chāhe to sarsabz mujhe bhī kar de
mo.ajaza dast-e-hunar-var meñ bahut hotā hai