mujh meñ maujūd hai jo chaak nahīñ khultā kuchh
ye mirā dīda-e-namnāk nahīñ khultā kuchh
naqsh ubhregā koī yā ki nahīñ ubhregā
kyā hai poshīda tah-e-ḳhāk nahīñ khultā kuchh
ye to tai hai ki ab is dil kā ziyāñ lāzim hai
vo hai ma.asūm ki chālāk nahīñ khultā kuchh
muntazir kaun se maiñ ālam-e-asbāb kā huuñ
kyā hai ab qismat-e-ḳhāshāk nahīñ khultā kuchh
kyuuñ bhalā us kī nishānī nahīñ miltī mujh ko
kyuuñ bhalā ġhurfa-e-idrāk nahīñ khultā kuchh
ab ye kyā hai mire atrāf nahīñ aatā samajh
aur ye matla-e-pechāk nahīñ khultā kuchh
band kyuuñ ashk na hoñ tab-e-ravāñ se ai 'tūr'
vo bhī to sūrat-e-aflāk nahīñ khultā kuchh