Krishna Kumar Toor

kitab-e-ishq mein sara bayan visal ka hai

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
kitāb-e-ishq meñ saarā bayāñ visāl kā hai
maiñ zinda hijr meñ huuñ aur gumāñ visāl kā hai
ham aise farq-e-ta.alluq se ḳhud bhī hairāñ haiñ
zamīñ hai hijr kī aur āsmāñ visāl kā hai
ajab tazād ke pesh-e-nazar huuñ hastī meñ
hai dhuup hijr kī aur sā.ebāñ visāl kā hai
hai jāgne pe hī paḌtā tamām chābuk-e-hijr
hoñ āñkheñ band to saarā samāñ visāl kā hai
chalo ye hijr sahī kuchh to dastaras meñ rahe
jo vaqt aatā hai vo bhī kahāñ visāl kā hai
ġharaz se chup haiñ magar ahl-e-dil samajhte haiñ
ki lafz-e-hijr se raushan-bayāñ visāl kā hai
kashīd karte haiñ irfān apne hijr se 'tūr'
ye ḳhitta chhoḌ ke saarā jahāñ visāl kā hai
Top Urdushayar.com