ik kā ghūñT samundar ik kā paikar pyaas
paanī āb-e-hayāt aur sikandar pyaas
amrit-būñd āsmān se Tapkā paanī
garm tave par ek parinda-e-be-par pyaas
biich kī ek lakīr hī ab faisla kare
kis ke baazū paanī kis kī chādar pyaas
donoñ bahr-e-shola-e-zāt donoñ asīr-e-anā
dariyā ke lab par paanī dasht ke lab par pyaas
rañg-e-lahū se gulgūñ āb-e-nahr-e-furāt
ahd-e-vafā kā ā.īna ek samundar pyaas
shāyad ik ḳhanjar hī dil shādāb kare
vo ik tanhā pyāsā merī ghar bhar pyaas
'tūr' vahī hisār hai ġham-e-arzānī kā
bāhar kī samt naqsh hai jo ik patthar pyaas