bulāvā kaun sā koh-e-nidā meñ rakkhā hai
charāġh ham ne jo apnā havā meñ rakkhā hai
vo chāhe baḳhsh de zillat ki sarfarāz kare
bas ik yaqīñ hai jo ham ne ḳhudā meñ rakkhā hai
adam vajūd meñ bhartī hai ik rag-e-maujūd
ab aur is ke sivā kyā duā meñ rakkhā hai
na ḳhud-shanāsī agar ho to kyā nashāt-e-ishq
raqam na ho to kyā harf-e-navā meñ rakkhā hai
safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-ma.anī
badan na ho to bhalā kyā qabā meñ rakkhā hai
jo dekho ġhaur se kuchh kam nahīñ hai ye bhī 'tūr'
ik iztirār sukūn-e-havā meñ rakkhā hai