Krishna Kumar Toor

rup ka rasiya sukh ka khoji dil hai wo baalak nadan

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ruup kā rasiyā sukh kā khojī dil hai vo bālak nādān
dar dar ghūme banā bhikārī māñge ḳhushiyoñ kā daan
jaltī bujhtī sham.oñ se pūchho raat ke siine kā dard
uḌte pakherū batlā.eñge sūraj kī har muskān
kaun chakhe ye paan kā biiḌā kaun chaḌhā.e chillā
nas nas TuuT TuuT rah jaa.e jīvan vo kaḌī kamān
us kā jism hai jaise havā meñ machalte dhaan kī baalī
us kī shoḳh kaTīlī nazreñ jaise arjun ke baan
kabhī kabhī to phuul kī ḳhushbū bhī kar detī hai zukām
kabhī kabhī to sharāb bhī hotī hai jīvan kā vardān
mol-tol kab karte haiñ bhalā dil sī shai ke gāhak
mahñgī bike yā sastī uTThe haiñ donoñ ek samān
ham se bhī kuchh kah lo sun lo ai jaane vaalī raato
ham bhī to haiñ is duniyā meñ do ghaḌiyoñ ke mehmān
Top Urdushayar.com