ek diyā dahlīz pe rakkhā bhuul gayā
ghar ko lauT ke aane vaalā bhuul gayā
ye kaisī be-āb zamīñ kā sāmnā thā
ḳhud ko qatra qatre ko dariyā bhuul gayā
maiñ to thā maujūd kitāb ke lafzoñ meñ
vo hī shāyad mujh ko paḌhnā bhuul gayā
kis ke jism kī bārish ne sairāb kiyā
kyuuñ uḌnā mausam kā parinda bhuul gayā
āḳhir ye honā thā āḳhir yahī huā
duniyā mujh ko aur maiñ duniyā bhuul gayā
maiñ bhī huuñ mansūb kisī ke qatl se ab
sūraj merī chhat pe chamaknā bhuul gayā
vafā kā khoTā sikka kab tak chaltā 'tūr'
achchhā huā jo apnā parāyā bhuul gayā