maiñ vahm huuñ ki haqīqat ye haal dekhne ko
giraft hotā huuñ apnā visāl dekhne ko
charāġh kartā huuñ apnā har ek azv-e-badan
taras gayā huuñ ġham-e-lā-zavāl dekhne ko
ye aadmī haiñ ki patthar javāb dete nahīñ
chale haiñ koh-e-nidā se savāl dekhne ko
na sher haiñ na satā.ish ajab zamāna hai
kahīñ pe miltā nahīñ ab kamāl dekhne ko
maiñ 'tūr' āḳhirī saa.at kā ek manzar huuñ
vo aa rahā hai mujhe be-misāl dekhne ko