Krishna Kumar Toor

uski chah mein ab ke ye bhi kamal hua

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
us kī chaah meñ ab ke ye bhī kamāl huā
ḳhud se maiñ bāhar aayā to ek misāl huā
dard kī beḌī shaam se hī baj uThtī hai
maiñ to us ke firāq meñ aur niDhāl huā
vo merī tārīf kā ab mohtāj nahīñ
vo chehra to ḳhud hī ek misāl huā
ḳhud hī charāġh ab apnī lau se nālāñ hai
naqsh ye kyā ubhrā ye kaisā zavāl huā
ab to sannāTā bhī boltā lagtā hai
apne aap meñ ye bhī ek kamāl huā
maiñ apnī tanhā.ī se shāyad aajiz thā
is aahaT kā varna kaise ḳhayāl huā
vo bhī mujh ko bhulā ke bahut ḳhush baiThā hai
maiñ bhī us ko chhoḌ ke 'tūr' nihāl huā
Top Urdushayar.com