na us ko dekhā na tāb-o-tavāñ ravāna kiye
tamām-umr kaTī miTTī meñ Thikānā kiye
na us se vasl kiyā aur na hā-o-hū hī kī
zamāna guzrā koī kār-e-ārifāna kiye
diloñ ko zaḳhm diye aur azaab āñkhoñ ko
jo kaam us ne kiye saare munsifāna kiye
maiñ apne-āp ko pahchāntā nahīñ huuñ abhī
maiñ aañkh muuñd ke leTā huuñ ye bahāna kiye
ye aisā daav hai jab pheñko ulTā paḌtā hai
sameTe baiThe ho kyā ishq ko ḳhazāna kiye
ho us se vasl ke tālib bharī sabhā meñ 'tūr'
kahāñ ye hosh-o-havās aap ne ravāna kiye