Krishna Kumar Toor

ek tamasha ye bhi jahan mein kar jaana

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ek tamāshā ye bhī jahāñ meñ kar jaanā
apne badan se kisī kueñ ko bhar jaanā
bas ik buuñd lahū se saarī fazīlat hai
varna kab zinda rakhtā hai mar jaanā
us ko DhūñDne meñ jab bhī rañg bharā
ham ne to is dil ko bhī ik manzar jaanā
apne sar par ḳhud hī sajānā sūraj ko
aur apnī parchhā.īñ se ḳhud hī Dar jaanā
ḳhaak ko kyuuñ chamkāyā lahū kī raushnī se
duniyā ko kyā soch samajh kar ghar jaanā
ek zarā sī anā pe bas ham zinda haiñ
varna 'tūr' bahut āsāñ hai mar jaanā
Top Urdushayar.com