apne mar-miTne ke asbāb bahut dekhtā huuñ
ishq vaalā huuñ tire ḳhvāb bahut dekhtā huuñ
ye bhī hai ek sabab is mirī tanhā.ī kā
apne chāroñ taraf ahbāb bahut dekhtā huuñ
aur to aur tirī yaad se bhī huuñ ġhāfil
maiñ yahāñ ḳhud ko zafar-yāb bahut dekhtā huuñ
kuchh to us husn meñ rakhī hai ḳhudā ne tāsīr
aur kuchh logoñ ko betāb bahut dekhtā huuñ
arsa-e-dahr to hai merī nigāhoñ kā tilism
jab bhī maiñ dekhtā huuñ ḳhvāb bahut dekhtā huuñ
in dinoñ apne ko rakhtā huuñ bahut ḳhud ke qarīb
in dinoñ dahr ko ḳhūñ-nāb bahut dekhtā huuñ
mujh ko marnā hai kisī jhiil sī ā.ankhoñ meñ 'tūr'
hai yahī vaj.h ki mahtāb bahut dekhtā huuñ