Krishna Kumar Toor

tamam raat paDi thi ki din nikal aaya

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
tamām raat paḌī thī ki din nikal aayā
abhī to aañkh lagī thī ki din nikal aayā
yaqīñ ho puḳhta to phir shab badal bhī saktī hai
ye baat us ne kahī thī ki din nikal aayā
ye mo.ajaza bhī hamīñ par tamām honā thā
vo bas zarā sā hañsī thī ki din nikal aayā
maiñ din nikalne kā vaise bhī muntazir thā bahut
ye jaan ḳhvāb huī thī ki din nikal aayā
sahar se pahle bhalā din kahāñ nikaltā hai
zarā sī baat banī thī ki din nikal aayā
zarā sā dard huā thā ki dil chamak uTThā
zarā sī sub.h huī thī ki din nikal aayā
kareñ jo ġhaur yahī hai nizām-e-qudrat 'tūr'
ye raat ḳhatm huī thī ki din nikal aayā
Top Urdushayar.com