Krishna Kumar Toor

kyun mujhe mahsus ye hota hai aksar raat bhar

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
kyuuñ mujhe mahsūs ye hotā hai aksar raat bhar
sīna-e-shab par chamaktā hai samundar raat bhar
ek barq-e-zard lahrā.e to qissa ḳhatm ho
kyuuñ Darā.e rakhtā hai mujh ko mirā ghar raat bhar
ab rahegā ziist meñ lamha-ba-lamha ik azaab
ab khulegā ik fusūñ manzar-ba-manzar raat bhar
maiñ huuñ kyā aur kyā mirī pahchān ab us ke baġhair
maiñ jise siine meñ rakhtā huuñ sajā kar raat bhar
imtihāñ hone na hone kā na ho darpesh 'tūr'
ik sadā sī gūñjtī hai mere andar raat bhar
Top Urdushayar.com