maiñ kis se kartā yahāñ guftugū koī bhī na thā
nahīñ thā mere muqābil jo tū koī bhī na thā
ye ijz-e-zāt thā yā irtafā-e-husn-e-nazar
kabhī kabhī to mire chaar sū koī bhī na thā
ajiib us kī hai mahfil ki us kī mahfil meñ
pur-imtiyāz the sab surḳh-rū koī bhī na thā
maiñ kyā batā.ūñ ki us ḳhaak se huuñ vābasta
zamīn-e-dil meñ jahāñ nam numū koī bhī na thā
ye kaisī bastī hai vārid kahāñ huā huuñ jahāñ
nazīr-e-silsila-e-hāv-hū koī bhī na thā
chalo chaleñ ki yaqīn o gumāñ kī duniyā meñ
nafas nafīs sabhī dil lahū koī bhī na thā
maiñ ḳhud hī apne barābar khaḌā huā thā 'tūr'
bhare jahān meñ merā adū koī bhī na thā