Krishna Kumar Toor

ye dar ye taq ye chaukhaT ye ghar malal ka hai

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ye dar ye taaq ye chaukhaT ye ghar malāl kā hai
safar meñ jitnā hai zād-e-safar malāl kā hai
maiñ kaisī sā.at-e-bad-baḳht meñ muqayyad huuñ
duā ḳhushī kī hai zāhir asar malāl kā hai
rukī huī hai hayāt ik ajab dorāhe par
idhar hañsī kā ijāra udhar malāl kā hai
sajā.e rakkhā hai ham ko anā kī suulī par
koī agar hai to bas ye hunar malāl kā hai
sambhāl rakkhā hai ab jis qadar hai sarmāya
ziyāda kuchh nahīñ bas ek ghar malāl kā hai
ravāñ huuñ maiñ usī jānib jidhar hai vo bastī
mire liye to ye saarā safar malāl kā hai
lagā.e rakkheñge siine se us ko ham ai 'tūr'
hayāt meñ koī TukḌā agar malāl kā hai
Top Urdushayar.com