Krishna Kumar Toor

sahil se bich samundar gahra pani

Krishna Kumar Toor

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
sāhil se biich samundar gahrā paanī
ghar miTTī ghar se bāhar gahrā paanī
ye asrār hai zāhir us ke hone kā
manzar ho yā pas-manzar gahrā paanī
dil ko kyā dekhte ho ai dekhne vaalo
bāhar ḳhushkī aur andar gahrā paanī
Duub ke hī maiñ shāyad paar nikal jā.ūñ
merā kyā mere andar gahrā paanī
vaqt kab ik sī hālat rahne detā hai
ho jaatā hai ret aksar gahrā paanī
āsmān par chāñd chamaktā hai ḳhālī
nīche hai poshīda gauhar gahrā paanī
be-pāyāñ kartā huuñ 'tūr' apne ko maiñ
ik ḳhālī tasht meñ bhar kar gahrā paanī
Top Urdushayar.com