bahut kahā thā suḳhan-varoñ meñ guzar na karnā
bahut kahā thā ki baat sunñā magar na karnā
bahut kahā thā ki Dūbne kā hai Dar ziyāda
bahut kahā thā ki pāniyoñ kā safar na karnā
bahut kahā thā ki tum akele na rah sakoge
bahut kahā thā ki ham ko yuuñ dar-ba-dar na karnā
bahut kahā thā vo tum ko pahchāntā nahīñ hai
bahut kahā thā tum us ko apnī ḳhabar na karnā
bahut kahā thā ki rābtoñ ko darāz rakhnā
bahut kahā thā mohabbateñ muḳhtasar na karnā
bahut kahā thā ki ishq āḳhir to ishq Thahrā
bahut kahā thā kisī ko is kī ḳhabar na karnā
bahut kahā thā zamīñ se rishta na 'tūr' TuuTe
bahut kahā thā falak ko zer-e-asar na karnā