us ne jo dard kā ambār lagāyā huā hai
ham ne bhī dil sar-e-bāzār lagāyā huā hai
ek aafat kī tarah ham ne ab is siine se
thā lagānā jise sarkār lagāyā huā hai
pyaar kī taaza havā aa.e kahāñ se ham ne
ḳhud ko ik sūrat-e-dīvār lagāyā huā hai
kyā kisī but kī mohabbat meñ giraftār hue
kyuuñ bhalā siine se zunnār lagāyā huā hai
ek lamhe ko bhī maujūd nahīñ hai rāhat
ghar meñ kyā halqa-e-aġhyār lagāyā huā hai
apne se duur bhī rakkhā hai bahut tū ne hameñ
ek tasma sā bhī ai yaar lagāyā huā hai
taaki tafrīq diloñ meñ na rahe hargiz 'tūr'
ham ne is paar ko us paar lagāyā huā hai