dasht meñ pahle vo samundar chamkātā hai
tab phir siine meñ ḳhanjar chamkātā hai
bhiiḌ se vo kartā hai mujhe kuchh aise judā
bar neze par merā sar chamkātā hai
bhed kholtā hai vo yuuñ apne hone kā
har aane vaale kā ghar chamkātā hai
dekhūñ vo kab kartā hai zañg-e-anā kāfūr
dekhūñ vo kab merā andar chamkātā hai
varna kyā miTTī kyā miTTī kī kaayā
kuchh to hai jo vo zamīñ par chamkātā hai
taare sūraj phuul samundar chiḌiyā meñ
vo kaise kaise manzar chamkātā hai
vo kab rahne detā hai mujh ko akelā 'tūr'
aañkh ik nīlam sī shab bhar chamkātā hai