maiñ apne taur pe khelā thā ābgīnoñ se
milā huuñ yāroñ ko taht-us-surā ke zīnoñ se
maiñ aise shaḳhs kī taqlīd karnā chāhtā huuñ
jo saañs letā rahā dostoñ ke sīnoñ se
gumāñ guzartā hai duniyā kī tez-gāmī se
ki log ḳhvāb bhī dekheñge dūr-bīnoñ se
ye tajraba hai mirā sarsarī sī baat nahīñ
koī bhī nukta milegā na nukta-chīnoñ se
hamārī āñkhoñ se aañsū gire nadāmat ke
hai diin phuuT paḌā kufr kī zamīnoñ se
salāmī kā hai ye andāz jāntā huuñ magar
bahut se haath haiñ Tāñke ga.e jabīnoñ se
mizāj-e-vaqt moharram safar pe baat kareñ
sadī kā karb to mansūb hai mahīnoñ se
ye ālamīn kī tartīb hī ulaT jaa.e
nikālā jaa.e madīna agar madīnoñ se
maiñ us dayār kī miTTī ko nuur jāntā huuñ
jahāñ pe barchhiyāñ toḌī ga.ī thī sīnoñ se
ye shaam jhiil shafaq mo'atabar haiñ apnī jagah
mirā mizāj zarā muḳhtalif hai tīnoñ se
sharāfatoñ meñ vo yūsuf-mizāj hote haiñ
tumheñ milā.ūñgā ġhurbat-zada hasīnoñ se
maiñ sīdhī baat kā aadī huuñ saañp kyuuñ bolūñ
maiñ apne yaar nikālūñgā āstīnoñ se