Kazim Husain Kazim

fitrat ulaT ke KHwab dikhane diye gae

Kazim Husain Kazim

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1988
fitrat ulaT ke ḳhvāb dikhāne diye ga.e
gūñgoñ ko bad-zabānī ke ta.ane diye ga.e
rāhat kī pairvī meñ takalluf gañvā diyā
āñgan meñ ġhair log bhī aane diye ga.e
andhoñ kī bārgāh meñ āñkheñ fuzūl thiiñ
ik sar-burīda jism ko shāne diye ga.e
ik ret kī jabīn pe patthar kī Thokareñ
be-ghar musāfiroñ ko Thikāne diye ga.e
paanī kī maat tishna-laboñ ko na thī qubūl
sad shukr mujh ko ashk bahāne diye ga.e
ye āsmāñ zamīn kī nālain rah gayā
badle meñ us ko taare ugāne diye ga.e
ham tīrgī ke saath numāyāñ the bazm meñ
un ko to un ke ghar se bhī laane diye ga.e
ham pairāhan ke taar se bāñdhe hue vajūd
tasbīh ke mizāj ko daane diye ga.e
do lāshe hī to ghoḌoñ ke paañv kā rizq the
baaqī to saare lāshe uThāne diye ga.e
kitne zamāne lamhoñ kī ġhaflat se mar ga.e
saa.at kī bandagī ko zamāne diye ga.e
bujhte hue charāġh kī tābinda raushnī
vo raushnī ki jis ko churāne diye ga.e
sajde mirī jabīn meñ rakkhe ga.e magar
āñkhoñ meñ mujh ko jism basāne diye ga.e
'kāzim' kisī ke ġham kī rifāqat kā shukriya
mujh ko bhī kuchh charāġh jalāne diye ga.e
Top Urdushayar.com