ruḳh apnī tamannāoñ kā ab moḌ rahā huuñ
ik TuuTe hue shaḳhs ko maiñ joḌ rahā huuñ
manzil kā ta.ayyun hai na sāñsoñ kā bharosa
maiñ vaqt kī taqlīd meñ bas dauḌ rahā huuñ
maiñ auroñ ke hisse ke bhī dam phūñk na jā.ūñ
ye soch ke jaldī se maiñ dam toḌ rahā huuñ
jis sehr ne toḌā hai mujhe haal meñ aa kar
maazī meñ usī sehr kā maiñ toḌ rahā huuñ
insān kī takmīl hai rah jaanā adhūrā
kuchh kaam adhūre maiñ tabhī chhoḌ rahā huuñ
jis shāḳh ko chhūne se huā ḳhuld se bāhar
maiñ aaj bhī us shāḳh se phal toḌ rahā huuñ
ik ġham se hai ashkoñ ke ta.alluq kī vazāhat
maiñ ashk se patthar ko agar toḌ rahā huuñ
jiddat kā taqāza hai ulaT baat tū 'kāzim'
dīvār ko maiñ sar se miyāñ phoḌ rahā huuñ