haañ pahle Darte the par ab mazāq karte haiñ
hamāre saath yahāñ sab mazāq karte haiñ
ham apnī zaat kī sanjīdgī pe hañste haiñ
usuul bante haiñ vo jab mazāq karte haiñ
mujhe yaqīn to honā ki maiñ yaqīnan huuñ
maiñ muntazir huuñ ki vo kab mazāq karte haiñ
hameñ qubūl tahajjud ke vaqt se pahle
ham apnī zaat se har shab mazāq karte haiñ
shab-e-firāq sahīfe meñ jab hai Dhal jaatī
jo ashk zinda hoñ vo tab mazāq karte haiñ
ḳhud apne jaisā unheñ bhī na saḳht-gīr banā
kabhī kabhī to tire lab mazāq karte haiñ
maiñ be-salīqa ḳhayāloñ kā mo.atadil misra.a
suḳhanvarī ke jo haiñ Dhab mazāq karte haiñ
hameñ bhī shauq hai dekheñ hañsī ko bante hue
zarā batāo nā vo kab mazāq karte haiñ
maiñ uñgliyoñ ke tasarruf meñ raushnī rakh duuñ
badan ke zāviye yārab mazāq karte haiñ
agar na puure taqāze hoñ adl ke 'kāzim'
to kursiyoñ se bhī mansab mazāq karte haiñ