Kazim Husain Kazim

mah-jabinon ki adaon se ulajh baiTha hun

Kazim Husain Kazim

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1988
mah-jabīnoñ kī adāoñ se ulajh baiThā huuñ
is kā matlab hai balāoñ se ulajh baiThā huuñ
bāb-e-tāsīr se nākām palaT aa.ī hai
is liye apnī duāoñ se ulajh baiThā huuñ
terī dahlīz pe jhukne kā savāl aayā thā
maiñ zamāne kī anāoñ se ulajh baiThā huuñ
jo musāfir ke liye ba.is-e-taskīn nahīñ
aise ashjār kī chhāñv se ulajh baiThā huuñ
jo ġharīboñ kā diyā phūñk ke tham jaatī hai
aisī kam-zarf havāoñ se ulajh baiThā huuñ
ab tirī god ke pāloñ meñ bhī ehsās nahīñ
bas yahī soch ke gaañv se ulajh baiThā huuñ
arsh vaale mirī tauqīr salāmat rakhnā
farsh ke saare ḳhudāoñ se ulajh baiThā huuñ
apne qātil se ulajhne kā irāda kar ke
log kahte haiñ ḳhalāoñ se ulajh baiThā huuñ
ek kam-zarf kī be-rabt jafā kī ḳhātir
shahr-vāloñ kī vafāoñ se ulajh baiThā huuñ
terī dastār se 'kāzim' maiñ ulajh na paatā
bas yahī soch ke paañv se ulajh baiThā huuñ
Top Urdushayar.com