Kazim Husain Kazim

hadon se baDh ke mukammal hudud saunpta hun

Kazim Husain Kazim

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1988
hadoñ se baḌh ke mukammal hudūd sauñptā huuñ
tirī thakan ko maiñ apnā vajūd sauñptā huuñ
ragoñ meñ ḳhuun kī hiddat se ḳhushk-sālī hai
maiñ us ravānī ko rasm-e-jumūd sauñptā huuñ
vo mujh se duur to maiñ us se duur hone lagā
maiñ barguzīda aziyyat ko suud sauñptā huuñ
maiñ sauñp dene kī manzil talak nahīñ pahuñchā
magar kisī ko qayām-o-sujūd sauñptā huuñ
vo be-zabān ḳhudā kar rahā thā sargoshī
maiñ ma.arifat ke tanāsub se juud sauñptā huuñ
to kyā ye lafz bhī ḳhālī haiñ ma.anaviyyat se
zabūr-e-jism ko rūh-e-da.ūd sauñptā huuñ
mirā vajūd madīna shumār hotā hai
maiñ jab bhī dil se dahan ko darūd sauñptā huuñ
nabī kā beTā huuñ nisbat hai mo'atabar merī
kisī ko faqr kisī ko numūd sauñptā huuñ
ayaañ bhī honā hai lekin nihāñ bhī rahnā hai
so ġhā.ebāna adā ko varūd sauñptā huuñ
mujhe hai ḳhauf-e-zamāna na nīche dab jaa.e
maiñ apne sar kā falak ko umuud sauñptā huuñ
tū merī aañkh ke hujre meñ lauT aa.egā
maiñ tujh ko donoñ-jahāñ kī hudūd sauñptā huuñ
tū dekhne kā irāda to bāñdh ai 'kāzim'
maiñ terī aañkh ko ramz-e-shuhūd sauñptā huuñ
Top Urdushayar.com