Kazim Husain Kazim

hai sara lams ka fitna hawas pagal hain

Kazim Husain Kazim

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1988
hai saarā lams kā fitna havās pāgal haiñ
ḳhudā kā shukr ki chehra-shanās pāgal haiñ
tumhāre shahr meñ pāgal vo haiñ jo hañste haiñ
hamāre shahr meñ saare udaas pāgal haiñ
vo mujh meñ paanī piyegī nahīñ nahīñ mujh meñ
jhagaḌ rahe haiñ musalsal gilās pāgal haiñ
shu.ūr vaale hī golī chalānā jānte haiñ
maiñ mutma.in huuñ mire ās-pās pāgal haiñ
mujhe samajhne kī manzil hai muntazir un kī
yaqīnī baat hai pāgal kī aas pāgal haiñ
maiñ un se pūchhūñgā jannat haiñ bechte kaise
mujhe navāz agar tere paas pāgal haiñ
vo apnī sadiyoñ ko tishna-dahan banā.e ga.e
bujhā rahe haiñ jo lamhoñ kī pyaas pāgal haiñ
hamārī vaqt se bantī to kis tarah bantī
mizāj-e-vaqt ko aate hī raas pāgal haiñ
tumhāre ba.ad siyānoñ kā haal kyā hogā
tumhāre ba.ad yahāñ par udaas pāgal haiñ
libās vāloñ se baḌh kar hayā hai āñkhoñ meñ
hamārī āñkhoñ meñ kuchh be-libās pāgal haiñ
tujhe satā.eñge jab tak tirī razā hogī
ham har tarah se tabī.at-shanās pāgal haiñ
tumhāre ahd ke sau se haiñ mohtaram 'kāzim'
hamāre ahd meñ jo ki pachās pāgal haiñ
Top Urdushayar.com