Kazim Husain Kazim

taKHti qalam dawat se pahle ki baat hai

Kazim Husain Kazim

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1988
taḳhtī qalam davāt se pahle kī baat hai
ye ishq kā.enāt se pahle kī baat hai
sach hai ki maiñ bhī pyaar kā munkir banā rahā
haañ haañ ye terī zaat se pahle kī baat hai
ab to tire ġhalat pe bhī āmīn kah diyā
inkār terī baat se pahle kī baat hai
bas be-sabab furāt pe ilzām aa gayā
ye pyaas to furāt se pahle kī baat hai
kin kā dahan talāsh kareñ mil ke dosto
ye lafz shash-jahāt se pahle kī baat hai
maiñ naaz zindagī ke uThātā rahā bajā
par ye mirī vafāt se pahle kī baat hai
ik karb-e-nā-tamām se niklā to ro paḌā
merī ḳhushī najāt se pahle kī baat hai
'kāzim' thā ḳhauf rizq-e-suḳhan meñ kamī na ho
ye ishq kī zakāt se pahle kī baat hai
Top Urdushayar.com