haañ mirā haal hai barbād magar maiñ to nahīñ
tujh ko kartā hai koī yaad magar maiñ to nahīñ
bārhā ḳhāliq-e-kaunain tirī ḳhidmat meñ
pahuñchī hogī mirī fariyād magar maiñ to nahīñ
ahd-e-hāzir meñ lage misr ke bāzāroñ meñ
bik ga.ī hai mirī rūdād magar maiñ to nahīñ
kaash hastī bhī mirī daad ke qābil hotī
sher lete haiñ mire daad magar maiñ to nahīñ
mohtaram log mujhe fan ke sabab jānte haiñ
mohtaram haiñ mire ustād magar maiñ to nahīñ
dast-e-haidar se ġhulāmī kī sanad jin ko milī
hoñge vo hazrat-e-miqdād magar maiñ to nahīñ
saal ke saath badalnā nahīñ aatā 'kāzim'
haañ badal jaate haiñ a.adād magar maiñ to nahīñ