zarā bhī jis kī vafā kā yaqīn aayā hai
qasam ḳhudā kī usī se fareb khāyā hai
har ek kāfir-o-momin ke kaam aayā hai
vo har maqām jahāñ maiñ ne sar jhukāyā hai
bahut ġhurūr thā hosh-o-havās par lekin
nazar jab un se milī hai to hosh aayā hai
kabhī hujūm-e-alam meñ bhī muskurāyā huuñ
kabhī ḳhushī ke bhī aalam meñ jī bhar aayā hai
anīs-e-dard-e-judā.ī tirā karam bhī nahīñ
tirā sitam bhī to rah-rah ke yaad aayā hai
udaas dekh ke mujh ko udaas baiThe haiñ
tamām umr kā ġham aaj raas aayā hai
'shamīm' mauj o talātum se kyā gila kiije
safīna ain kināre pe Dagmagāyā hai