Shamim Jaipuri

raushni lene chale the aur andhere chha gae

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
raushnī lene chale the aur andhere chhā ga.e
muskurāne bhī na paa.e the ki aañsū aa ga.e
aaj kitne dost mujh ko dekh kar katrā ga.e
allāh allāh ab mohabbat meñ ye din bhī aa ga.e
jab bhī aayā hai kisī ko bhuul jaane kā ḳhayāl
yak-ba-yak āvāz aa.ī lījiye ham aa ga.e
aah vo manzil jo merī ġhaflatoñ se gum huī
haa.e vo rahbar jo mujh ko raah se bhaTkā ga.e
phir ye rah rah kar kisī kī yaad taḌpātī hai kyuuñ
ab to ham tark-e-mohabbat kī qasam bhī khā ga.e
dekh kar un kī nigāh-e-lutf ik muddat ke baad
kyā batā.eñ kyā ḳhayāl aayā ki aañsū aa ga.e
un ke hī qadmoñ kī aahaT raat bhar aatī rahī
dil kī har dhaḌkan pe ham samjhe ki vo ḳhud aa ga.e
ab koī dair o haram se bhī sadā aatī nahīñ
ham tirī dhun meñ ḳhudā jaane kahāñ tak aa ga.e
Top Urdushayar.com