tark-e-mohabbat par bhī hogī un ko nadāmat ham se ziyāda
kis ne kī hai kaun karegā un se mohabbat ham se ziyāda
ham ne maanā aap meñ hogī sabr kī tāqat ham se ziyāda
dekhiye lekin utrī huī hai aap kī sūrat ham se ziyāda
uff vo tabassum halkā halkā haa.e vo bhīgī bhīgī palkeñ
vaqt-e-ruḳhsat un pe garāñ thā lamha-e-ruḳhsat ham se ziyāda
koī tamannā koī masarrat dil ke qarīb aane hī na dī
kis ne kī hai ishq meñ yaaro ġham se mohabbat ham se ziyāda