na pūchh kab se ye dam ghuT rahā hai siine meñ
ki maut kā sā maza aa rahā hai jiine meñ
na jaane kyuuñ ye talātum Dubo nahīñ detā
ki nāḳhudā bhī nahīñ ab mire safīne meñ
qadam qadam pe bachāyā hai Thokaroñ se magar
ḳharāsh aa hī ga.ī dil ke ābgīne meñ
mahak rahī hai sabā sub.h se na jaane kyuuñ
nahā ke aa.ī hai shāyad tire pasīne meñ
'shamīm' sāhil o kashtī se kuchh umiid na rakh
koī vaqār nahīñ is tarah se jiine meñ