ilāhī kaash ġham-e-ishq kaam kar jaa.e
jo kal guzarnī hai mujh par abhī guzar jaa.e
tamām umr rahe ham to ḳhair kāñToñ meñ
ḳhudā kare tirā dāman guloñ se bhar jaa.e
zamāna ahl-e-ḳhirad se to ho chukā māyūs
ajab nahīñ koī dīvāna kaam kar jaa.e
hamārā hashr to jo kuchh huā huā lekin
duā ye hai ki tirī āqibat sañvar jaa.e
nigāh-e-shauq vahī hai nigāh-e-shauq 'shamīm'
jo ek baar ruḳh-e-yār par Thahar jaa.e