Shamim Jaipuri

har shai tujhi ko samne lae to kya karun

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
har shai tujhī ko sāmne laa.e to kyā karūñ
har shai meñ tū hī tū nazar aa.e to kyā karūñ
tham tham ke aañkh ashk bahā.e to kyā karūñ
rah rah ke terī yaad satā.e to kyā karūñ
ye to batāte jaao agar jā rahe ho tum!
mujh ko tumhārī yaad satā.e to kyā karūñ
maanā sukūñ-navāz hai har shai bahār meñ
tere baġhair chain na aa.e to kyā karūñ
har sher meñ sunā to gayā huuñ maiñ hāl-e-dil
lekin tirī samajh meñ na aa.e to kyā karūñ
ab ishq se ziyāda ġham-e-tark-e-ishq hai
ye aag bujh ke aur jalā.e to kyā karūñ
dil ho gayā hai ḳhūgar-e-bedād ishq meñ
un kī vafā bhī raas na aa.e to kyā karūñ
us sharam-gīñ nazar kā tasavvur agar 'shamīm'
bijlī dil-o-nazar par girā.e to kyā karūñ
Top Urdushayar.com