Shamim Jaipuri

zamin pe rah ke dimagh aasman se milta hai

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
zamīñ pe rah ke dimāġh āsmāñ se miltā hai
kabhī ye sar jo tire āstāñ se miltā hai
isī zamīñ se isī āsmāñ se miltā hai
ye kaun detā hai āḳhir kahāñ se miltā hai
sunā hai luuT liyā hai kisī ko rahbar ne
ye vāqi.a to mirī dāstāñ se miltā hai
dar-e-habīb bhī hai but-kada bhī ka.aba bhī
ye dekhnā hai sakūñ ab kahāñ se miltā hai
talab na ho to kisī dar se kuchh nahīñ miltā
agar talab ho to donoñ jahāñ se miltā hai
vahīñ chalo vahīñ ab ham bhī haath phailā.eñ
'shamīm' saare jahāñ ko jahāñ se miltā hai
Top Urdushayar.com