Shamim Jaipuri

jab subh ka manzar hota hai ya chandni-raaten hoti hain

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
jab sub.h kā manzar hotā hai yā chāñdnī-rāteñ hotī haiñ
us vaqt tasavvur meñ un se kuchh aur hī bāteñ hotī haiñ
jab dil se dil mil jaatā hai vo daur-e-mohabbat aah na pūchh
kuchh aur hī din ho jaate haiñ kuchh aur hī rāteñ hotī haiñ
tūfān kī maujoñ meñ ghir kar pahuñchā bhī hai koī sāhil tak
sab yaas ke aalam meñ dil ko samjhāne kī bāteñ hotī haiñ
kyuuñ yaad 'shamīm' aa jaate haiñ vo apnī mohabbat ke lamhe
jab ishq ke qisse suntā huuñ jab husn kī bāteñ hotī haiñ
Top Urdushayar.com