jab shikāyat thī ki tūfāñ meñ sahārā na milā
ab kināre pe bhī aa.e to kinārā na milā
be-sahāroñ ko kahīñ koī sahārā na milā
koī tūfāñ na milā koī kinārā na milā
haath uTThe hī nahīñ sāġhar o miinā kī taraf
ham ko jab tak tirī āñkhoñ kā ishārā na milā
chal na saktā thā kabhī ahl-e-havas kā jaadū
tujh ko ai dost koī ishq kā maarā na milā
jis ne dekhā hameñ dushman kī nazar se dekhā
terī mahfil meñ koī dost hamārā na milā
maut behtar hai 'shamīm' us ke liye jiine se
jis ko jiine ke liye koī sahārā na milā