sāhil pe laa.ī aur safīne Dubo diye
yuuñ zindagī ne ham ko hañsāyā ki ro diye
ahl-e-chaman ne jashn-e-bahārāñ ke naam se
vo dāstāñ sunā.ī ki dāman bhigo diye
zabt-e-ġham-e-firāq kī majbūriyāñ na pūchh
dil meñ kisī kā naam liyā aur ro diye
fariyād kī hai baat magar ab sunegā kaun
ik nāḳhudā ne kitne safīne Dubo diye
ai vā.e-sa.ī-e-zabt ki aksar tire huzūr
hañsne kā ehtimām kiyā aur ro diye
un āñsuoñ kā dekhne vaalā koī na thā
jin āñsuoñ meñ ham ne tabassum samo diye
rāh-e-junūñ meñ kaam ḳhirad se liyā hī thā
zo.af-e-talab ne paañv meñ kāñTe chubho diye
tajdīd-e-ahd-e-ishq huī aaj yuuñ 'shamīm'
nazreñ milīñ salām kiyā aur ro diye