Shamim Jaipuri

kyun hamein maut ke paigham diye jate hain

Shamim Jaipuri

Jaipur, Rajasthan, India

1933
kyuuñ hameñ maut ke paiġhām diye jaate haiñ
ye sazā kam to nahīñ hai ke jiye jaate haiñ
ham haiñ ek sham.a magar dekh ke bujhte bujhte
raushnī kitne añdheroñ ko diye jaate haiñ
nashsha donoñ meñ hai saaqī mujhe ġham de ke sharāb
mai bhī pī jaatī hai aañsū bhī piye jaate haiñ
un ke qadmoñ pe na rakh sar ke hai ye be-adabī
pā-e-nāzuk to sar-āñkhoñ pe liye jaate haiñ
tujh ko barsoñ se hai kyuuñ tark-e-ta.alluq kā ḳhayāl
faisle vo haiñ jo pal-bhar meñ liye jaate haiñ
apnī tārīḳh-e-mohabbat ke vahī haiñ suqrāt
hañs ke har saañs pe jo zahr piye jaate haiñ
ābgīnoñ kī tarah dil haiñ ġharīboñ ke 'shamīm'
TuuT jaate haiñ kabhī toḌ diye jaate haiñ
Top Urdushayar.com