aaj merī shab-e-furqat kī sahar aa.ī hai
muddatoñ ba.ad tirī rāhguzar aa.ī hai
dekh to liije mire ḳhūn-e-tamannā kī bahār
jis kī surḳhī mirī ā.ankhoñ meñ utar aa.ī hai
tū ne to tark-e-mohabbat kī qasam khaa.ī thī
kyuuñ tirī aañkh mujhe dekh ke bhar aa.ī hai
un ke pairāhan-e-rañgīñ kī mahak hai is meñ
aaj kyā bād-e-sabā ho ke udhar aa.ī hai
is meñ kuchh un kī jafā.eñ bhī to shāmil haiñ 'shamīm'
bevafā.ī kī jo tohmat mire sar aa.ī hai